Saturday, March 10, 2012

SHARM - LIHAJ

Sharm-Lihaj To Bhitar Hote Hain,

Chupaye Nahi Ye Kahan Chipte Hain,

Aisa Bhi Nahi Ki Dikhaye Ye Dikhte Hain,

Darte Nahi Ye Gairo Se,

Darte to Sirf Ye Hain Apne Hi Aap se,

Ek Waqt Tha Jab Log Sharm-Lihaj Bachaane Ke Liye Apna Sab Kuch Kurban Kar Dete the,

Aalam Yah Hain Aaj Ka To Ki Log Sab Kuch Pane Ki Lalsa mein Sharm-Lihaj Hi Bech Diya Karte Hain,

Kush Bahut Hote Hain Films Ke Jariye Inko Bech Kar,

Vo Ab Tak To Khud Hi Khud Ke Sharm-Lihaj Bechate Phirte The,

Pata Chala Ki Ab To Dusro Ke Bhi Bech Diya Karte Hain,

Ab To Dar Bhi Nahi Lagta Ye Sun Kar Ki Pralaya, Tufan, Bhukmp Dharti Ko Tabah Kar Denge,

Kyon Ki Aadmi To Khud Hi Prakratik Aapdon Ke Aane Se Pahle Hi Tabah Ki Vyavastha Kar Denge.....

No comments:

Post a Comment