Saturday, March 24, 2012

Jajba -Ek Jeet Ka


Dhadakta To Hai Dil, Par Dhadkan Nahi Hoti,

Chalti To Hai Sanse, Par Unmein Mahak Nahi Hoti,

Band To Hoti Hai Aankhe, Par Unmein Nind Nahi Hoti,

Aanshu To Hai Aankho Mein, Par Aankhe Nahi Roti,

Jaan To Hai Sharir Mein, Par Andar Halchal Nahi Hoti,

Batein To Hai Bahut Sochane ko, Par Har Baat Sach Nahi Hoti,

Yaaden To Hai Bahut, Par Unki Aakrati Nahi Hoti,

Rang To Hote Hai Roj, Par Har Din Holi Nahi Hoti,

Kushi To Hoti Hain Roj, Par Har Din Diwali Nahi Hoti,

Tutate To Roj Hai Bandhan, Par Har Din Azadi Nahi Hoti,

Aulad Ho Chahe Kitni Hi Buri, Par Maa Ke Liye Buri Nahi Hoti,

Manjile To Hai Hajar, Par Har Musibat Paar Nahi Hoti,

Har Musibat Paar Karlo, Par Manjil Hasil Nahi Hoti,

Kathin Hota Hain Rasta, Jitane Ka Jajba Rakhne Valon Ke Liye,
 
Par Sach To Yah Hai Doston, Ki Unaki Kabhi Haar Nahi Hoti……………………………….

Friday, March 23, 2012

Tu, Tu Aur Bas Tu


Aankh Band Karun To Najar Aaye Vo Hain Tu,

Aankh Kholu To Najar Aaye Vo Hain Tu,

Yaad Aaye To Aankho Se Jhalke Vo Hain Tu,

Jeene Ka Maksad Hain Tu,

Dil Ke Aayne Mein Hain Bas Tu,

Dhadakte Dil Ki Dhadkan Hain Tu,

Chalti Sanso Ki Mahkati Khushboo Hain Tu,

Mein To Bejan Sharir Hun, Iski Jaan Hain Tu,

Mera Pyar to Hain Bus Tu,

Par Isse Anjan Hain Tu,

Shabd Hun Mein, Iski Aawaj Hain Tu,

Kahun Agar to Mere Hone Ki Pahchan Hain Tu…………………..

Sunday, March 18, 2012

UMMID

Teri Ummid Mein Sota Hun, Teri Ummid Mein Uthata Hun Rani,

Teri Ummid Mein Khata Hun, Teri Ummid Mein Pita Hun Pani,

Ummid Ka Matlab Galat Mat Samajhana Rani,

Ummid Yeh Hai Ki Tu Ab Nahi Aayegi Lautkar Shani…………


Jaib Khali Ki Jo Tune Aaj Tak Bhar Na Paye,

Dusri Ki Aur Dekhe Ye Himmat Ab Tak Jutta Na Paye,

Gam Ye Nahi Hota Ki Tu Ab Ja Chuki Hain,

Gam to Yeh Hai Ki Jaib Abhi Tak Bhari Na Ja Chuki Hain………


Rat Bhar Dekhta Hun Sapne Sukhad Jivan Ke Liye,

Kuch Apne Liye, Kuch Parivar Jan Ke Liye,

Hoga Bhagya Sath Ab Mere,

Achacha Nasib Bhi Ab Hath Lagega Mere…….


Dekhte Hi Dekhte Gujar Gayi Ye Zindagi Meri,

Piche Dekha To Na Tha Kuch Mera, Na Thi Vo Meri,

Vo Thi To Jarur, Par Tha Koi Aur Uske Sath,

Mein Bhi Tha To Yahin, Par Na Tha Koi Mere Sath….....


Mila Ek Sabak Ye Sab Kuch Khone Ke Baad,

Koi Nahi Khada Hota Sath , Sab Kuch Khone Ke Baad,

Zinda Hun Jab Tak Rahegi Baat Ye Yaad,

Ki Maa-Baap Ke Siwa Koi Nahi Rahta Har Ghadi Mein Aapke sath………

Saturday, March 17, 2012

Ae Dost

Bhulne- Bhulane ka Silsila to Chalta Rahega,
Milana-Milane ka karwa bhi Jari Rahega,
Koi Dost aisa nahi Jo Bhulaya Ja sake,
Ae Dost Tera Chehra to Marke bhi Aankho mein Rahega……..

Friday, March 16, 2012

Saturday, March 10, 2012

SHARM - LIHAJ

Sharm-Lihaj To Bhitar Hote Hain,

Chupaye Nahi Ye Kahan Chipte Hain,

Aisa Bhi Nahi Ki Dikhaye Ye Dikhte Hain,

Darte Nahi Ye Gairo Se,

Darte to Sirf Ye Hain Apne Hi Aap se,

Ek Waqt Tha Jab Log Sharm-Lihaj Bachaane Ke Liye Apna Sab Kuch Kurban Kar Dete the,

Aalam Yah Hain Aaj Ka To Ki Log Sab Kuch Pane Ki Lalsa mein Sharm-Lihaj Hi Bech Diya Karte Hain,

Kush Bahut Hote Hain Films Ke Jariye Inko Bech Kar,

Vo Ab Tak To Khud Hi Khud Ke Sharm-Lihaj Bechate Phirte The,

Pata Chala Ki Ab To Dusro Ke Bhi Bech Diya Karte Hain,

Ab To Dar Bhi Nahi Lagta Ye Sun Kar Ki Pralaya, Tufan, Bhukmp Dharti Ko Tabah Kar Denge,

Kyon Ki Aadmi To Khud Hi Prakratik Aapdon Ke Aane Se Pahle Hi Tabah Ki Vyavastha Kar Denge.....

Thursday, March 8, 2012

AANSU- Hidden Thoughts

AANSU- Hidden Thoughts ::::::::::::::

Agar Rakh Sako to Ek Nishani Hun mein,

Agar Kah Do to Ek Kahani Hun Mein,

Mano Agar to Pani Hun Mein,

Sare Gamon ki Nishani Hun Mein,

Jise Dekh Karuna Bah Jati Hai Vo Tasveer Hun Mein,

Rok Na Paye Jise Sari Duniya,

Vo Ek Boond Aankh ka AANSU Hun Mein......


Truth of Life

Har Bhagwan Ki Kahani mein ek Insan Jarur Hota hai,,,,,,
Par Jaruri Nahi ki Har Insan ki Kahani mein Bhagwan ho....

GOD IS INSIDE EVERY MAN'S SOUL, BUT THE WORD ''TRUST'' GIVES US THE POWER TO FACE ANY CONDITION.....

Mohabat aur Bhawana

Haan ye Sach hai tumse mohabat hai..
Ye bhi sach hai tumahri chahat hai..
Par meri zindagi main chahto ki kami to nahi hai..
Rishte or bhi hain sirf tum hi to nahi..
Apni zat ke is pahlu se aaj milwau tumhe..
Mein kya hun kesi hun zara batlau tumhen..
Me meri Maa ki trbiyt mein Dhala sancha hun…
Apne paba ki umedo par Khara Utran hun…
Apne Bhai-Bahin ki gairat hun janta hun mein..
Mujse hein ghar ki har izat manta hun main..
To behak jau mai ye kabhi mumkin he nahi..
Ki Dil wo sab bhi rakhte hain, bus Hum-Tum hi to nahi…
Mohabat wo nai jo rishte bhula deti ho…
Mohabat wo he jo Buzurgon ki Dua leti ho……