Saturday, March 24, 2012

Jajba -Ek Jeet Ka


Dhadakta To Hai Dil, Par Dhadkan Nahi Hoti,

Chalti To Hai Sanse, Par Unmein Mahak Nahi Hoti,

Band To Hoti Hai Aankhe, Par Unmein Nind Nahi Hoti,

Aanshu To Hai Aankho Mein, Par Aankhe Nahi Roti,

Jaan To Hai Sharir Mein, Par Andar Halchal Nahi Hoti,

Batein To Hai Bahut Sochane ko, Par Har Baat Sach Nahi Hoti,

Yaaden To Hai Bahut, Par Unki Aakrati Nahi Hoti,

Rang To Hote Hai Roj, Par Har Din Holi Nahi Hoti,

Kushi To Hoti Hain Roj, Par Har Din Diwali Nahi Hoti,

Tutate To Roj Hai Bandhan, Par Har Din Azadi Nahi Hoti,

Aulad Ho Chahe Kitni Hi Buri, Par Maa Ke Liye Buri Nahi Hoti,

Manjile To Hai Hajar, Par Har Musibat Paar Nahi Hoti,

Har Musibat Paar Karlo, Par Manjil Hasil Nahi Hoti,

Kathin Hota Hain Rasta, Jitane Ka Jajba Rakhne Valon Ke Liye,
 
Par Sach To Yah Hai Doston, Ki Unaki Kabhi Haar Nahi Hoti……………………………….

3 comments:

  1. bahut achhi kavita hai aapki, soye hue jajbat bhi mere jag uthe hai.

    ReplyDelete
  2. Phir puch raha sawal tuhjse,ae khuda...........
    dil aadat se majboor hai.............
    kyu yeh khamoshiyan chayi hui hai fizaaon mein ???
    woh kyu mujh se dur hai ???
    ye meri saza hai yaa, mera kasur hai ???
    kyu aati nahi ab maut mujhe ???
    tujhe bhi kya mera sukoon naa manzoor hai ???

    ReplyDelete